shahr-e-tarik ko sapnon ka nagar hone tak
shahr-e-tārīk ko sapnoñ kā nagar hone tak
muntazir baiThī huuñ is shab kī sahar hone tak
hijr meñ hālat-e-dil kaise sambhal pā.egī
rāh-e-dushvār se yādoñ kā guzar hone tak
raat kī god meñ armān liye baiThī huuñ
kaash aa jaa.e vo ye raat basar hone tak
us kā mujh se hai taqāzā ki gulistāñ meñ rahūñ
apnī ra.anā.ī kā phūloñ pe asar hone tak
pyaar ko ahl-e-zamāna se bachā kar rakhiye
pyaar kī apnī sabhī manzileñ sar hone tak
vo to aa jā.egā mujh ko ye yaqīñ hai lekin
miT na jā.ūñ kahīñ maiñ us ko ḳhabar hone tak
tum ne 'zaryāb' yūñhī naġhma sunāyā thā use
us ko gaanā hai magar pyaar amar hone tak
shahr-e-tarik ko sapnon ka nagar hone tak
muntazir baiThi hun is shab ki sahar hone tak
hijr mein haalat-e-dil kaise sambhal paegi
rah-e-dushwar se yaadon ka guzar hone tak
raat ki god mein arman liye baiThi hun
kash aa jae wo ye raat basar hone tak
us ka mujh se hai taqaza ki gulistan mein rahun
apni ranai ka phulon pe asar hone tak
pyar ko ahl-e-zamana se bacha kar rakhiye
pyar ki apni sabhi manzilen sar hone tak
wo to aa jaega mujh ko ye yaqin hai lekin
miT na jaun kahin main us ko KHabar hone tak
tum ne 'zaryab' yunhi naghma sunaya tha use
us ko gana hai magar pyar amar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.