shahr-e-tamanna soya hua tha
shahr-e-tamannā soyā huā thā
dard kā sahrā jaag rahā thā
kaise batā.ūñ Dar kaisā thā
ḳhuun badan kā jamne lagā thā
dil meñ jo aa.ī sab ne kahā thā
āñkhoñ se kis ne dekhā thā
logoñ kī pahchān thī mushkil
chehre sā gardan pe kyā thā
duniyā mere pīchhe paḌī thī
maiñ duniyā se bhaag rahā thā
log tamāshā dekh rahe the
dariyā meñ kuchh Duub rahā thā
ḳhud se bhī bezār hai 'aḳhtar'
kal tak jo hañstā rahtā thā
shahr-e-tamanna soya hua tha
dard ka sahra jag raha tha
kaise bataun Dar kaisa tha
KHun badan ka jamne laga tha
dil mein jo aai sab ne kaha tha
aankhon se kis ne dekha tha
logon ki pahchan thi mushkil
chehre sa gardan pe kya tha
duniya mere pichhe paDi thi
main duniya se bhag raha tha
log tamasha dekh rahe the
dariya mein kuchh Dub raha tha
KHud se bhi bezar hai 'aKHtar'
kal tak jo hansta rahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.