shahr-e-tarab mein bechaini ke pahlu kaun KHaridega

shahr-e-tarab mein bechaini ke pahlu kaun KHaridega
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
shahr-e-tarab meñ bechainī ke pahlū kaun ḳharīdegā
dasht-e-jāñ kī ḳhātir ġham ke aahū kaun ḳharīdegā
table kī har thaap pe ḳhush haiñ sab lekin raqqāsa ke
paañv raqs meñ Tuut ga.e to ghuñghrū kaun ḳharīdegā
jism sabhī sandal jaise hoñ chehre hoñ phūloñ kī tarah
is 'ālam meñ mausam-e-gul se ḳhushbū kaun ḳharīdegā
jis bastī ke har āñgan meñ chāñd aur sūraj ugte haiñ
us bastī meñ raat huī to jugnū kaun ḳharīdegā
ab maiñ 'sham'' ye soch rahī huuñ sīm-o-zar kī bārish meñ
is patthar bastī meñ mere aañsū kaun ḳharīdegā
shahr-e-tarab mein bechaini ke pahlu kaun KHaridega
dasht-e-jaan ki KHatir gham ke aahu kaun KHaridega
table ki har thap pe KHush hain sab lekin raqqasa ke
panw raqs mein Tut gae to ghunghru kaun KHaridega
jism sabhi sandal jaise hon chehre hon phulon ki tarah
is 'alam mein mausam-e-gul se KHushbu kaun KHaridega
jis basti ke har aangan mein chand aur suraj ugte hain
us basti mein raat hui to jugnu kaun KHaridega
ab main 'sham ye soch rahi hun sim-o-zar ki barish mein
is patthar basti mein mere aansu kaun KHaridega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.