shahr-e-tohmat mein bahut der pukara hua hun
shahr-e-tohmat meñ bahut der pukārā huā huuñ
maiñ jo ik shaḳhs tire ahd kā maarā huā huuñ
mirī tanhā.ī mujhe roz tirā pūchhtī hai
maiñ jo duniyā ke muqābil tujhe haarā huā huuñ
munjamid thā maiñ kisī bahr-e-shumālī kī tarah
ik tire haath lagā dene se paarā huā huuñ
apnī barbādī kā jab jashn manāyā maiñ ne
phir kahīñ jā ke tujhe jaan se pyārā huā huuñ
har koī haath meñ talvār liye baiThā hai
maiñ to jaise kisī maqtal meñ utārā huā huuñ
sāmnā teġh-e-sitam kā hai mirā ik ma.amūl
shahr-e-ḳhūñ-bār se sau baar guzāra huā huuñ
maiñ kisī bād-e-ta'alluq kī hunar-kārī se
ret par naqsh kī mānind ubhārā huā huuñ
umr ik maiñ ne guzārī hai rah-e-tīra meñ
tab kahīñ jā ke maiñ 'shahzād' sitārā huā huuñ
shahr-e-tohmat mein bahut der pukara hua hun
main jo ek shaKHs tere ahd ka mara hua hun
meri tanhai mujhe roz tera puchhti hai
main jo duniya ke muqabil tujhe haara hua hun
munjamid tha main kisi bahr-e-shumali ki tarah
ek tere hath laga dene se para hua hun
apni barbaadi ka jab jashn manaya main ne
phir kahin ja ke tujhe jaan se pyara hua hun
har koi hath mein talwar liye baiTha hai
main to jaise kisi maqtal mein utara hua hun
samna tegh-e-sitam ka hai mera ek mamul
shahr-e-KHun-bar se sau bar guzara hua hun
main kisi baad-e-ta'alluq ki hunar-kari se
ret par naqsh ki manind ubhaara hua hun
umr ek main ne guzari hai rah-e-tira mein
tab kahin ja ke main 'shahzad' sitara hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.