shahr-e-ulfat mein ba-juz jaan ka ziyan kuchh bhi nahin
shahr-e-ulfat mein ba-juz jaan ka ziyan kuchh bhi nahin
Siraj Sholapuri
MORE BYSiraj Sholapuri
shahr-e-ulfat meñ ba-juz jaañ kā ziyāñ kuchh bhī nahīñ
lauT chal ai dil-e-nādāñ ki yahāñ kuchh bhī nahīñ
ātish-e-ishq bujhī raakh uḌī duur talak
ab na sho.ala na sharāra na dhuāñ kuchh bhī nahīñ
shab ke sannāToñ meñ āvāra bhaTakte hī rahe
aur bhaTakne kā sabab bhī thā kahāñ kuchh bhī nahīñ
kis ajab moḌ pe gardish hameñ laa.ī ki jahāñ
apne hone kā yaqīñ hai na gumāñ kuchh bhī nahīñ
aisī rātoñ kā musāfir huuñ mire hisse meñ
chāñd kā nuur na tāroñ kā nishāñ kuchh bhī nahīñ
dil meñ gar baat koī hai to kaho baat ki hai
gar nahīñ hai to kaho saaf ki haañ kuchh bhī nahīñ
dhuup saa.e ko tarastī huī dekh aa.e haiñ
kuchh nahīñ aas ke sahrā meñ miyāñ kuchh bhī nahīñ
zindagī dasht kī mānind nazar aatī hai
jis kī qismat meñ zamistāñ na ḳhizāñ kuchh bhī nahīñ
koī qātil nahīñ maqtal pe paḌe haiñ taale
tum kahāñ jaate ho sāhib ki vahāñ kuchh bhī nahīñ
shahr-e-ulfat mein ba-juz jaan ka ziyan kuchh bhi nahin
lauT chal ai dil-e-nadan ki yahan kuchh bhi nahin
aatish-e-ishq bujhi rakh uDi dur talak
ab na shoala na sharara na dhuan kuchh bhi nahin
shab ke sannaTon mein aawara bhaTakte hi rahe
aur bhaTakne ka sabab bhi tha kahan kuchh bhi nahin
kis ajab moD pe gardish hamein lai ki jahan
apne hone ka yaqin hai na guman kuchh bhi nahin
aisi raaton ka musafir hun mere hisse mein
chand ka nur na taron ka nishan kuchh bhi nahin
dil mein gar baat koi hai to kaho baat ki hai
gar nahin hai to kaho saf ki han kuchh bhi nahin
dhup sae ko tarasti hui dekh aae hain
kuchh nahin aas ke sahra mein miyan kuchh bhi nahin
zindagi dasht ki manind nazar aati hai
jis ki qismat mein zamistan na KHizan kuchh bhi nahin
koi qatil nahin maqtal pe paDe hain tale
tum kahan jate ho sahib ki wahan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.