shahr-e-ulfat mein diya koi jalate jate
shahr-e-ulfat meñ diyā koī jalāte jaate
mere kūche ke añdhere bhī miTāte jaate
ye mirā ishq hai kamzorī nahīñ hai jānāñ
sar jhukātī huuñ sar-e-rāh jo aate jaate
ye jo palkoñ pe sajo.e hue haiñ motī ham
ye to daulat hai ise kaise luTāte jaate
aap ko dil pe mire raaj agar karnā thā
vasvase pahle mire dil ke miTāte jaate
zinda rahne ke liye ḳhvāb zarūrī hai bahut
so hameñ ḳhvāb nayā koī dikhāte jaate
be-qarārī kī ye manzil nahīñ hotī 'jyotī'
dūriyāñ aap agar mujh se baḌhāte jaate
shahr-e-ulfat mein diya koi jalate jate
mere kuche ke andhere bhi miTate jate
ye mera ishq hai kamzori nahin hai jaanan
sar jhukati hun sar-e-rah jo aate jate
ye jo palkon pe sajoe hue hain moti hum
ye to daulat hai ise kaise luTate jate
aap ko dil pe mere raj agar karna tha
waswase pahle mere dil ke miTate jate
zinda rahne ke liye KHwab zaruri hai bahut
so hamein KHwab naya koi dikhate jate
be-qarari ki ye manzil nahin hoti 'jyoti'
duriyan aap agar mujh se baDhate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.