shahr ke shahr basate hue mar jate hain
shahr ke shahr basāte hue mar jaate haiñ
kār-e-duniyā ko chalāte hue mar jaate haiñ
log bichhḌeñ to basā lete haiñ duniyā phir se
ham to bas haath chhuḌāte hue mar jaate haiñ
jab se tū raah kī dīvār samajhtā hai hameñ
ham tirī raah meñ aate hue mar jaate haiñ
chand chehroñ ke liye diid bachā rakkhī thī
ab to ham palkeñ bichhāte hue mar jaate haiñ
jo tire naam se ash.ār kahe the ham ne
ham vo ash.ār sunāte hue mar jaate haiñ
vo samajhte haiñ ki ham āñkhoñ meñ gum haiñ 'bushrā'
un se ham nazreñ milāte hue mar jaate haiñ
shahr ke shahr basate hue mar jate hain
kar-e-duniya ko chalate hue mar jate hain
log bichhDen to basa lete hain duniya phir se
hum to bas hath chhuDate hue mar jate hain
jab se tu rah ki diwar samajhta hai hamein
hum teri rah mein aate hue mar jate hain
chand chehron ke liye did bacha rakkhi thi
ab to hum palken bichhate hue mar jate hain
jo tere nam se ashaar kahe the hum ne
hum wo ashaar sunate hue mar jate hain
wo samajhte hain ki hum aankhon mein gum hain 'bushra'
un se hum nazren milate hue mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.