shahr ki hangama-arai se be-parwa hai wo
shahr kī hañgāma-ārā.ī se be-parvā hai vo
dhuup niklī hai to chaurāhe pe aa baiThā hai vo
chhū liyā gar bhuul se bhī to jhulas jā.egā haath
phuul jis ko aap ne samjhā hai angāra hai vo
mujrmoñ kī tarah maiñ apne makāñ meñ band huuñ
sar uThā.e be-gunāhoñ kī tarah phirtā hai vo
aao us ko khīñch laa.eñ shohratoñ ke shahr meñ
chhup ke kyoñ gumnāmiyoñ ke ġhaar meñ baiThā hai vo
bad-gumāñ hai mujh se lekin phir bhī merā dost hai
jab milā hai to gale mil kar bahut royā hai vo
tishnagī us kī bujhāne vaalā koī bhī nahīñ
sāmne panghaT ke baiThā hai magar pyāsā hai vo
dostī apnī jagah hai iḳhtilāf apnī jagah
aao us kī baat to sun aa.eñ kyā kahtā hai vo
ek muddat se 'azīz' aayā nahīñ hai is taraf
kyā ḳhabar kis haal meñ hai aur kyā kartā hai vo
shahr ki hangama-arai se be-parwa hai wo
dhup nikli hai to chaurahe pe aa baiTha hai wo
chhu liya gar bhul se bhi to jhulas jaega hath
phul jis ko aap ne samjha hai angara hai wo
mujrmon ki tarah main apne makan mein band hun
sar uThae be-gunahon ki tarah phirta hai wo
aao us ko khinch laen shohraton ke shahr mein
chhup ke kyon gumnamiyon ke ghaar mein baiTha hai wo
bad-guman hai mujh se lekin phir bhi mera dost hai
jab mila hai to gale mil kar bahut roya hai wo
tishnagi us ki bujhane wala koi bhi nahin
samne panghaT ke baiTha hai magar pyasa hai wo
dosti apni jagah hai iKHtilaf apni jagah
aao us ki baat to sun aaen kya kahta hai wo
ek muddat se 'aziz' aaya nahin hai is taraf
kya KHabar kis haal mein hai aur kya karta hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.