shahr ki viraniyon aur maqbaron ko dekhna
shahr kī vīrāniyoñ aur maqbaroñ ko dekhnā
apnī qismat meñ hai kyoñ ḳhālī gharoñ ko dekhnā
muTThiyoñ ko band rakhnā dūsroñ ke sāmne
haule haule ret bante pattharoñ ko dekhnā
pahle apne lafz kāġhaz kī tahoñ meñ DhūñDhnā
ajnabī nazroñ se phir dīda-varoñ ko dekhnā
ek pal meñ apne andar TuuT jaanā aur phir
dhund meñ lipTe hue sab manzaroñ ko dekhnā
maiñ zamīñ ko chhoḌ kar uḌne lagā huuñ aur tum
āsmānoñ se mire girte paroñ ko dekhnā
us kī tasvīreñ abhī se tum sajā lo zehn meñ
phir bahut mushkil rahegā ḳhud-saroñ ko dekhnā
phir vahī hai tishnagī aur nahr par lashkar magar
ab kaTe baazū nahīñ girte saroñ ko dekhnā
shahr ki viraniyon aur maqbaron ko dekhna
apni qismat mein hai kyon KHali gharon ko dekhna
muTThiyon ko band rakhna dusron ke samne
haule haule ret bante pattharon ko dekhna
pahle apne lafz kaghaz ki tahon mein DhunDhna
ajnabi nazron se phir dida-waron ko dekhna
ek pal mein apne andar TuT jaana aur phir
dhund mein lipTe hue sab manzaron ko dekhna
main zamin ko chhoD kar uDne laga hun aur tum
aasmanon se mere girte paron ko dekhna
us ki taswiren abhi se tum saja lo zehn mein
phir bahut mushkil rahega KHud-saron ko dekhna
phir wahi hai tishnagi aur nahr par lashkar magar
ab kaTe bazu nahin girte saron ko dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.