shahr mein ek qatl ki afwah raushan kya hui
shahr meñ ik qatl kī afvāh raushan kyā huī
ik taraf takbīr thī aur ik taraf jai kī pukār
ḳhauf-o-dahshat ke asar se chand biphre naujavāñ
zindagī ko kar rahe the har taraf khul kar shikār
ḳhuun se luthḌī huī lāsheñ uThā.e god meñ
āsmāñ kī samt maa.eñ dekhtī thiiñ baar baar
jabr-o-istihsāl ke is ātishīñ sailāb meñ
bah ga.e insāniyat ke lahlahāte barg-o-bār
phir huā yuuñ curfew kī ḳhāmushī ke darmiyāñ
dard meñ Duubī huī aa.ī qalandar kī pukār
shahr mein ek qatl ki afwah raushan kya hui
ek taraf takbir thi aur ek taraf jai ki pukar
KHauf-o-dahshat ke asar se chand biphre naujawan
zindagi ko kar rahe the har taraf khul kar shikar
KHun se luthDi hui lashen uThae god mein
aasman ki samt maen dekhti thin bar bar
jabr-o-istihsal ke is aatishin sailab mein
bah gae insaniyat ke lahlahate barg-o-bar
phir hua yun curfew ki KHamushi ke darmiyan
dard mein Dubi hui aai qalandar ki pukar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.