shahr mein insaf kya achchha hua
shahr meñ insāf kyā achchhā huā
aap sachche aur maiñ jhūTā huā
ho gayā vo be-niyāz-e-do-jahāñ
ai ḳhayāl-e-yār jo terā huā
rang-e-ruḳh hai tarjumān-e-vasl-e-ġhair
zulf-e-barham se to pūchho kyā huā
tham zarā ai dīda-e-ḳhūñ-bār aaj
dekh to ye kaun hai baiThā huā
aag bhaḌkāne ko niklī dil se aah
tuur par jo kuchh huā thoḌā huā
ik taḌap meñ aur vo betāb hoñ
tū bhī ai dard-e-jigar itnā huā
siikh le ham se koī andāz-e-ishq
so tirā ye rang hai bartā huā
uTh gayā jab un ke chehre se naqāb
zarra zarra dīda-e-bīnā huā
ek hangāma thā un ko chāhnā
aqrabā meñ hashr sā barpā huā
saañs ukhḌā nabz chhūTī maiñ chalā
haa.e tum ab tak na samjhe kyā huā
shāhid-o-mīnā muqaddar meñ nahīñ
bā-ḳhudā 'nāzish' abas paidā huā
shahr mein insaf kya achchha hua
aap sachche aur main jhuTa hua
ho gaya wo be-niyaz-e-do-jahan
ai KHayal-e-yar jo tera hua
rang-e-ruKH hai tarjuman-e-wasl-e-ghair
zulf-e-barham se to puchho kya hua
tham zara ai dida-e-KHun-bar aaj
dekh to ye kaun hai baiTha hua
aag bhaDkane ko nikli dil se aah
tur par jo kuchh hua thoDa hua
ek taDap mein aur wo betab hon
tu bhi ai dard-e-jigar itna hua
sikh le hum se koi andaz-e-ishq
so tera ye rang hai barta hua
uTh gaya jab un ke chehre se naqab
zarra zarra dida-e-bina hua
ek hangama tha un ko chahna
aqraba mein hashr sa barpa hua
sans ukhDa nabz chhuTi main chala
hae tum ab tak na samjhe kya hua
shahid-o-mina muqaddar mein nahin
ba-KHuda 'nazish' abas paida hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.