shahr mein rah kar yahi socha hai bas barsat mein
shahr meñ rah kar yahī sochā hai bas barsāt meñ
jaane kitne ghar gireñ ab ke baras barsāt meñ
khiḌkiyāñ jangal meñ chaltī rail kī sab khol do
ye havā ye miTTī aur paanī kā mas barsāt meñ
apne ehsāsāt ke tāroñ ko yuuñ Dhīlā na chhoḌ
apnī nas-nas kī tarah un ko bhī kas barsāt meñ
baj rahe haiñ dhīme-dhīme āñganoñ meñ jal-tarañg
mīThī-mīThī sī hai kamroñ meñ umas barsāt meñ
merī nas-nas meñ utartī jā rahī haiñ būñdiyāñ
aur sulagtā jā rahā hai har nafas barsāt meñ
'ishq kī taqdīs ko ab ik taraf rakh dījiye
'ishq ke rutbe ko pahuñchī hai havas barsāt meñ
bas tanāvar peḌ hī rah jā.eñge sīdhe khaḌe
baaqī sab bah jā.eñge ye ḳhār-o-ḳhas barsāt meñ
vaqt se pahle qafas kī tīliyoñ se sar na phoḌ
tinke-tinke ho ke bikhregā qafas barsāt meñ
bādaloñ kī gaḌgaḌāhaT meñ rajaz-ḳhvānī kī shaan
aur bijlī kī kaḌak hai dair-ras barsāt meñ
taur us ke bhī badalte rahte haiñ mausam ke saath
hai taġhāful sāl-bhar aur pesh-o-pas barsāt meñ
shahr mein rah kar yahi socha hai bas barsat mein
jaane kitne ghar giren ab ke baras barsat mein
khiDkiyan jangal mein chalti rail ki sab khol do
ye hawa ye miTTi aur pani ka mas barsat mein
apne ehsasat ke taron ko yun Dhila na chhoD
apni nas-nas ki tarah un ko bhi kas barsat mein
baj rahe hain dhime-dhime aanganon mein jal-tarang
miThi-miThi si hai kamron mein umas barsat mein
meri nas-nas mein utarti ja rahi hain bundiyan
aur sulagta ja raha hai har nafas barsat mein
'ishq ki taqdis ko ab ek taraf rakh dijiye
'ishq ke rutbe ko pahunchi hai hawas barsat mein
bas tanawar peD hi rah jaenge sidhe khaDe
baqi sab bah jaenge ye KHar-o-KHas barsat mein
waqt se pahle qafas ki tiliyon se sar na phoD
tinke-tinke ho ke bikhrega qafas barsat mein
baadalon ki gaDgaDahaT mein rajaz-KHwani ki shan
aur bijli ki kaDak hai dair-ras barsat mein
taur us ke bhi badalte rahte hain mausam ke sath
hai taghaful sal-bhar aur pesh-o-pas barsat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.