shahr mein raushaniyan ghar mein ujale kam hain
shahr meñ raushaniyāñ ghar meñ ujāle kam haiñ
jal uTheñ aa ki bahut haiñ ye havāle kam haiñ
rāh-e-haq pahle se mushkil nazar aatī hai hameñ
ḳhush na ho koī agar paañv meñ chhāle kam haiñ
ghar tasavvur meñ agar hai to saḌak par aa jā
aur vo bol jise bolne vaale kam haiñ
haiñ udhar vo ki jo zālim bhī haiñ shaddād bhī haiñ
aur idhar vo haiñ ki jo TūTne vaale kam haiñ
hākim-e-shahr hameñ itnā bhī majbūr na kar
faisle kar liye ham ne jo vo Taale kam haiñ
itnī tārīk fazā pahle kabhī thī hī nahīñ
ham ne jitne bhī charāġh ab ke uchhāle kam haiñ
ai vatan jin ko ye lagtā hai ki sab Thiik hai vo
aur kuchh hoñge tire chāhne vaale kam haiñ
shahr mein raushaniyan ghar mein ujale kam hain
jal uThen aa ki bahut hain ye hawale kam hain
rah-e-haq pahle se mushkil nazar aati hai hamein
KHush na ho koi agar panw mein chhaale kam hain
ghar tasawwur mein agar hai to saDak par aa ja
aur wo bol jise bolne wale kam hain
hain udhar wo ki jo zalim bhi hain shaddad bhi hain
aur idhar wo hain ki jo TuTne wale kam hain
hakim-e-shahr hamein itna bhi majbur na kar
faisle kar liye hum ne jo wo Tale kam hain
itni tarik faza pahle kabhi thi hi nahin
hum ne jitne bhi charagh ab ke uchhaale kam hain
ai watan jin ko ye lagta hai ki sab Thik hai wo
aur kuchh honge tere chahne wale kam hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.