shahr mein ruk sa gaya kar-e-jahan tere baad
shahr meñ ruk sā gayā kār-e-jahāñ tere baad
kyā batā.ūñ ki gayā kaun kahāñ tere baad
chīḳhte phirte haiñ sannāTe khulī saḌkoñ par
na rahā koī bhī ābād makāñ tere baad
aañkh se aaTh pahar ashk mire bahte haiñ
dil se uThne lagā rah rah ke dhuāñ tere baad
har taraf baat tirī yaad tirī fikr tirī
jaag uTThe tirī furqat ke nishāñ tere baad
pūchhnā chāhūñgā gar tū jo kahīñ mil jaa.e
be-zabāñ ho ga.e kyoñ ahl-e-zabāñ tere baad
hasrateñ dil meñ sulagtī haiñ mire āḳhir-e-shab
apne hone kā bhī baaqī na gumāñ tere baad
mubtalā 'raaj to hai dukh meñ terī furqat ke
shahr meñ kyoñ na rahā amn-o-amāñ tere baad
shahr mein ruk sa gaya kar-e-jahan tere baad
kya bataun ki gaya kaun kahan tere baad
chiKHte phirte hain sannaTe khuli saDkon par
na raha koi bhi aabaad makan tere baad
aankh se aaTh pahar ashk mere bahte hain
dil se uThne laga rah rah ke dhuan tere baad
har taraf baat teri yaad teri fikr teri
jag uTThe teri furqat ke nishan tere baad
puchhna chahunga gar tu jo kahin mil jae
be-zaban ho gae kyon ahl-e-zaban tere baad
hasraten dil mein sulagti hain mere aaKHir-e-shab
apne hone ka bhi baqi na guman tere baad
mubtala 'raj to hai dukh mein teri furqat ke
shahr mein kyon na raha amn-o-aman tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.