shahr mein tere mera koi shanasa bhi nahin
shahr meñ tere mirā koī shanāsā bhī nahīñ
kaun huuñ maiñ ye kisī shaḳhs ne pūchhā bhī nahīñ
husn-e-maġhrūr ko āñkhoñ meñ basāyā bhī nahīñ
hirs kā zahr mirī ruuh meñ utrā bhī nahīñ
us kī yādoñ se munavvar huī dil kī duniyā
chāñd aisā jo abhī abr se niklā bhī nahīñ
apnī marzī se qafas ham ne chunā thā sayyād
is liye tere sitam kā hameñ shikva bhī nahīñ
daur-daura hai yahāñ jaur-o-jafā kā lekin
dosto ahl-e-vafā shahr meñ anqā bhī nahīñ
gulsitāñ kaise tujhe sauñp deñ ai dushman-e-gul
is meñ shāmil to tire ḳhuun kā qatra bhī nahīñ
nāḳhudā ġhair kī kashtī kā tujhe kyoñ ġham hai
duur girdāb se kuchh terā safīna bhī nahīñ
pārsā go ki nahīñ 'sābir'-e-ḳhasta lekin
aap jaisā use samjhe haiñ to vaisā bhī nahīñ
shahr mein tere mera koi shanasa bhi nahin
kaun hun main ye kisi shaKHs ne puchha bhi nahin
husn-e-maghrur ko aankhon mein basaya bhi nahin
hirs ka zahr meri ruh mein utra bhi nahin
us ki yaadon se munawwar hui dil ki duniya
chand aisa jo abhi abr se nikla bhi nahin
apni marzi se qafas hum ne chuna tha sayyaad
is liye tere sitam ka hamein shikwa bhi nahin
daur-daura hai yahan jaur-o-jafa ka lekin
dosto ahl-e-wafa shahr mein anqa bhi nahin
gulsitan kaise tujhe saunp den ai dushman-e-gul
is mein shamil to tere KHun ka qatra bhi nahin
naKHuda ghair ki kashti ka tujhe kyon gham hai
dur girdab se kuchh tera safina bhi nahin
parsa go ki nahin 'sabir'-e-KHasta lekin
aap jaisa use samjhe hain to waisa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.