shahr phaile to mazafat badal jate hain
shahr phaile to mazāfāt badal jaate haiñ
husn vaale bhī yūñhī baat badal jaate haiñ
maiñ ki tanhā thā hamesha se maiñ tanhā hī rahā
log kahte the ki hālāt badal jaate haiñ
merī tauba meñ koī khoT nahīñ hai lekin
mai-kada dekh ke jazbāt badal jaate haiñ
ġham judā.ī ke sivā aur bhī kuchh haiñ jaise
jab vo daurān-e-mulāqāt badal jaate haiñ
saarī duniyā ke badal jaane kā shikva kaisā
tum badal jaao to din raat badal jaate haiñ
us ne ye kah ke mirā saath 'zakī' chhoḌ diyā
vaqt ke saath ḳhayālāt badal jaate haiñ
shahr phaile to mazafat badal jate hain
husn wale bhi yunhi baat badal jate hain
main ki tanha tha hamesha se main tanha hi raha
log kahte the ki haalat badal jate hain
meri tauba mein koi khoT nahin hai lekin
mai-kada dekh ke jazbaat badal jate hain
gham judai ke siwa aur bhi kuchh hain jaise
jab wo dauran-e-mulaqat badal jate hain
sari duniya ke badal jaane ka shikwa kaisa
tum badal jao to din raat badal jate hain
us ne ye kah ke mera sath 'zaki' chhoD diya
waqt ke sath KHayalat badal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.