shahr se koi mazafat mein aaya hua tha
shahr se koī mazāfāt meñ aayā huā thā
ek bāshinda mirī ghaat meñ aayā huā thā
yūñhī kaaTe nahīñ dushman ne mire donoñ haath
us se zar baḌh ke mire haath meñ aayā huā thā
ab jahāñ ḳhushk zamīneñ haiñ badan haiñ banjar
ye ilāqa kabhī barsāt meñ aayā huā thā
āḳhirī rail thī aur tujh se achānak thā milāp
maiñ ajab sūrat-e-hālāt meñ aayā huā thā
is tarah baañT diyā tū ne mujhe hissoñ meñ
jis tarah maiñ tujhe ḳhairāt meñ aayā huā thā
merī pahchān bane peḌ parinde aur phuul
saarā dehāt mirī zaat meñ aayā huā thā
shahr se koi mazafat mein aaya hua tha
ek bashinda meri ghat mein aaya hua tha
yunhi kaTe nahin dushman ne mere donon hath
us se zar baDh ke mere hath mein aaya hua tha
ab jahan KHushk zaminen hain badan hain banjar
ye ilaqa kabhi barsat mein aaya hua tha
aaKHiri rail thi aur tujh se achanak tha milap
main ajab surat-e-haalat mein aaya hua tha
is tarah banT diya tu ne mujhe hisson mein
jis tarah main tujhe KHairaat mein aaya hua tha
meri pahchan bane peD parinde aur phul
sara dehat meri zat mein aaya hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.