shahr se wo shaKHs ek ik harf-e-ulfat le gaya
shahr se vo shaḳhs ik ik harf-e-ulfat le gayā
munjamid lafzoñ kī tahrīrī imārat le gayā
sabz jāmun kī mahaktī chhāñv se uTThā ġhubār
aadmī ke zehn se ḳhvāboñ kī jannat le gayā
likh ke anjām-e-safar kī dāstāñ tafsīl se
rāhbar logoñ kī bastī se masarrat le gayā
hausloñ ke TūTte mīnār se niklā vo shaḳhs
muntashir afkār se mehr-o-muravvat le gayā
shahr se wo shaKHs ek ek harf-e-ulfat le gaya
munjamid lafzon ki tahriri imarat le gaya
sabz jamun ki mahakti chhanw se uTTha ghubar
aadmi ke zehn se KHwabon ki jannat le gaya
likh ke anjam-e-safar ki dastan tafsil se
rahbar logon ki basti se masarrat le gaya
hauslon ke TuTte minar se nikla wo shaKHs
muntashir afkar se mehr-o-murawwat le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.