shahr-yaron se bach ke chalta hun
shahr-yāroñ se bach ke chaltā huuñ
duniyā-dāroñ se bach ke chaltā huuñ
luuT lete haiñ muskurā kar sab
māh-pāroñ se bach ke chaltā huuñ
Dūbte dekhā hai bahut-soñ ko
so kināroñ se bach ke chaltā huuñ
sātvīñ samt mujh ko jaanā hai
maiñ madāroñ se bach ke chaltā huuñ
biij nafrat ke bote haiñ 'shā.im'
nā-bakāroñ se bach ke chaltā huuñ
shahr-yaron se bach ke chalta hun
duniya-daron se bach ke chalta hun
luT lete hain muskura kar sab
mah-paron se bach ke chalta hun
Dubte dekha hai bahut-son ko
so kinaron se bach ke chalta hun
satwin samt mujh ko jaana hai
main madaron se bach ke chalta hun
bij nafrat ke bote hain 'shaim'
na-bakaron se bach ke chalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.