shahron ki chaka-chaundh se uktae hue log
shahroñ kī chakā-chauñdh se uktā.e hue log
hañste haiñ bahut zor ke ghabrā.e hue log
ai niiñd tujhe mujh se shikāyat hai to mat aa
par maan le aate nahīñ yaad aa.e hue log
ik vo hai jo bīmār hai duniyā ke dukhoñ se
phir aate haiñ us shaḳhs ke Thukrā.e hue log
ai daur-e-shahanshāh mohabbat nahīñ martī
zinda haiñ abhī tak tire chunvā.e hue log
thak-hār ke duniyā se jo aa.e tire dar tak
ab jaa.eñ kahāñ par tire lauTā.e hue log
shahron ki chaka-chaundh se uktae hue log
hanste hain bahut zor ke ghabrae hue log
ai nind tujhe mujh se shikayat hai to mat aa
par man le aate nahin yaad aae hue log
ek wo hai jo bimar hai duniya ke dukhon se
phir aate hain us shaKHs ke Thukrae hue log
ai daur-e-shahanshah mohabbat nahin marti
zinda hain abhi tak tere chunwae hue log
thak-haar ke duniya se jo aae tere dar tak
ab jaen kahan par tere lauTae hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.