shahron ki samt ganw se aage nikal gae
shahroñ kī samt gaañv se aage nikal ga.e
jazbāt mere paañv se aage nikal ga.e
āġhāz meñ chale the to beTe the sāth-sāth
kuchh duur chal ke maaoñ se aage nikal ga.e
sar pe paḌī jo dhuup to jaanā ki yaar ham
peḌoñ kī sard chhāoñ se aage nikal ga.e
hotā bhī vo ba-dast-e-du'ā kis ke vāste
jab ham hī sab du'āoñ se aage nikal ga.e
itnā Thaharnā paḌ gayā ḳhāmoshiyoñ ke saath
har shaḳhs kī sadāoñ se aage nikal ga.e
mardūd kyoñ na hote jin atrāf kā thā hukm
ham log un dishāoñ se aage nikal ga.e
'sādiq' pukāriye na inheñ ab ye dasht-zād
zulfoñ kī nam ghaTāoñ se aage nikal ga.e
shahron ki samt ganw se aage nikal gae
jazbaat mere panw se aage nikal gae
aaghaz mein chale the to beTe the sath-sath
kuchh dur chal ke maon se aage nikal gae
sar pe paDi jo dhup to jaana ki yar hum
peDon ki sard chhaon se aage nikal gae
hota bhi wo ba-dast-e-du'a kis ke waste
jab hum hi sab du'aon se aage nikal gae
itna Thaharna paD gaya KHamoshiyon ke sath
har shaKHs ki sadaon se aage nikal gae
mardud kyon na hote jin atraf ka tha hukm
hum log un dishaon se aage nikal gae
'sadiq' pukariye na inhen ab ye dasht-zad
zulfon ki nam ghaTaon se aage nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.