shaida mujhe banaya gesu-e-ambarin ka
shaidā mujhe banāyā gesū-e-ambarīñ kā
dil hī mirā huā hai lo saañp āstīñ kā
us ko ḳhayāl aayā phir us but-e-hasīñ kā
allāh hai nigahbāñ mere dil-e-hazīñ kā
go paas vo nahīñ haiñ par dekhtā huuñ har dam
letā huuñ maiñ tasavvur se kaam dūrbīñ kā
hūroñ ke zikr par maiñ aayā nahīñ huuñ vaa.iz
mujh ko ḳhayāl is dam aayā hai ik hasīñ kā
kuchh iztirāb dil kā be-tābi-e-jigar kuchh
us ko sunā diyā yuuñ qissa kahīñ kahīñ kā
tujh ko jo hai mukarnā mahshar meñ mere ḳhuuñ se
qātil chhuḌā le pahle dhabbā tū āstīñ kā
shaida mujhe banaya gesu-e-ambarin ka
dil hi mera hua hai lo sanp aastin ka
us ko KHayal aaya phir us but-e-hasin ka
allah hai nigahban mere dil-e-hazin ka
go pas wo nahin hain par dekhta hun har dam
leta hun main tasawwur se kaam durbin ka
huron ke zikr par main aaya nahin hun waiz
mujh ko KHayal is dam aaya hai ek hasin ka
kuchh iztirab dil ka be-tabi-e-jigar kuchh
us ko suna diya yun qissa kahin kahin ka
tujh ko jo hai mukarna mahshar mein mere KHun se
qatil chhuDa le pahle dhabba tu aastin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.