shaiKH ke ghar ke samne aab-e-haram Dal dun
shaiḳh ke ghar ke sāmne āb-e-harām Daal duuñ
jām-o-subū kī aag meñ apnā kalām Daal duuñ
shahr ke is hujūm meñ jiine kā hausla rakhūñ
apne junūñ kī aag meñ shahr kī shaam Daal duuñ
sub.h se kuchh ajiib ġham dasht meñ haiñ hamāre saath
in ke saroñ pe maiñ zarā chādar-e-shām Daal duuñ
bistar-e-marg par mujhe jiine ke ḳhvāb de ga.e
jā.ūñ unhī ke sāmne un kā kalām Daal duuñ
aaj shab-e-visāl hai dekheñge aap hijr bhī
aag jalā ke ishq kī is meñ davām Daal duuñ
shaiKH ke ghar ke samne aab-e-haram Dal dun
jam-o-subu ki aag mein apna kalam Dal dun
shahr ke is hujum mein jine ka hausla rakhun
apne junun ki aag mein shahr ki sham Dal dun
subh se kuchh ajib gham dasht mein hain hamare sath
in ke saron pe main zara chadar-e-sham Dal dun
bistar-e-marg par mujhe jine ke KHwab de gae
jaun unhi ke samne un ka kalam Dal dun
aaj shab-e-visal hai dekhenge aap hijr bhi
aag jala ke ishq ki is mein dawam Dal dun
- Book : chahaar khvaab (Pg. 73)
- Author : qamar jamiil
- Publication : maktaba aasii (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.