shaiKH maiKHane se jab su-e-haram aate hain
shaiḳh maiḳhāne se jab sū-e-haram aate haiñ
sar jhukā.e hue bā-dīda-e-nam aate haiñ
ahl-e-gulshan to hazāroñ haiñ muqaddar se magar
barq ke sāmne aate haiñ to ham aate haiñ
phir bhī be-tābī-e-dil khīñch ke le jaatī hai
go tirī bazm se ham khā ke qasam aate haiñ
rāsta ziist kā pur-pech nazar aatā hai
jab ḳhayāloñ meñ tirī zulf ke ḳham aate haiñ
muḳhlisāna tire andāz nahīñ haiñ saaqī
ham tirī bazm meñ is vāste kam aate haiñ
vo 'abas karte haiñ mahrūmī-e-qismat kā gila
jo tirī bazm meñ begāna-e-ġham aate haiñ
dil-e-nākām ko miltā hai umīdoñ kā payām
jab kabhī manzil-e-maqsūd pe ham aate haiñ
kis tarah husn pe ā.īna ho hālat merī
naala karne ke tarīqe mujhe kam aate haiñ
husn kī zad se koī dil ko bachā.e kyūñkar
un ke tiir ab to ba-andāz-e-karam aate haiñ
apnā markaz hī samajh rakkhā ho jaise 'ishrat'
yuuñ mire dil kī taraf ranj-o-alam aate haiñ
shaiKH maiKHane se jab su-e-haram aate hain
sar jhukae hue ba-dida-e-nam aate hain
ahl-e-gulshan to hazaron hain muqaddar se magar
barq ke samne aate hain to hum aate hain
phir bhi be-tabi-e-dil khinch ke le jati hai
go teri bazm se hum kha ke qasam aate hain
rasta zist ka pur-pech nazar aata hai
jab KHayalon mein teri zulf ke KHam aate hain
muKHlisana tere andaz nahin hain saqi
hum teri bazm mein is waste kam aate hain
wo 'abas karte hain mahrumi-e-qismat ka gila
jo teri bazm mein begana-e-gham aate hain
dil-e-nakaam ko milta hai umidon ka payam
jab kabhi manzil-e-maqsud pe hum aate hain
kis tarah husn pe aaina ho haalat meri
nala karne ke tariqe mujhe kam aate hain
husn ki zad se koi dil ko bachae kyunkar
un ke tir ab to ba-andaz-e-karam aate hain
apna markaz hi samajh rakkha ho jaise 'ishrat'
yun mere dil ki taraf ranj-o-alam aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.