shaiKH-o-waiz ko KHudara ham-nashin mat kijiye
shaiḳh-o-vā.iz ko ḳhudārā ham-nashīñ mat kījiye
kaam jo shāyān-e-ahl-e-dil nahīñ mat kījiye
dekhiye bas ye ki izn-e-chashm-e-jānāna hai kyā
'ishq hai to imtiyāz-e-kufr-o-dīñ mat kījiye
Daal deñ jo dil ke darvāzoñ pe be-mehrī ke qufl
jī meñ aisī ārzūoñ ko makīñ mat kījiye
zehn meñ zauq-e-gumāñ kī bhī na gunjā.ish rahe
is qadar tauhīn-e-ādāb-e-yaqīñ mat kījiye
shauq se ho lījiye ahl-e-junūñ ke saath saath
haañ magar phir fikr-e-jeb-o-āstīñ mat kījiye
hai lagan to kījiye sahrā-navardī misl-e-qais
sirf zikr-e-lailā-e-mahmil-nashīñ mat kījiye
dasht meñ kho jā.iye jangal meñ jā basiye magar
ruuh ko bahr-e-ḳhudā uzlat-guzīñ mat kījiye
muskurā kar Taal diije dād-ḳhvāh-e-shauq ko
haañ agar mumkin nahīñ hai to nahīñ mat kījiye
lutf kā tālib hai māl-o-zar kā saudā.ī nahīñ
apne saa.il par nigāh-e-ḳhashm-gīñ mat kījiye
'ishq ke baare meñ nā-mahram jo kahte haiñ kahīñ
ḳhanda-peshānī se sun liije yaqīñ mat kījiye
shaiKH-o-waiz ko KHudara ham-nashin mat kijiye
kaam jo shayan-e-ahl-e-dil nahin mat kijiye
dekhiye bas ye ki izn-e-chashm-e-jaanana hai kya
'ishq hai to imtiyaz-e-kufr-o-din mat kijiye
Dal den jo dil ke darwazon pe be-mehri ke qufl
ji mein aisi aarzuon ko makin mat kijiye
zehn mein zauq-e-guman ki bhi na gunjaish rahe
is qadar tauhin-e-adab-e-yaqin mat kijiye
shauq se ho lijiye ahl-e-junun ke sath sath
han magar phir fikr-e-jeb-o-astin mat kijiye
hai lagan to kijiye sahra-nawardi misl-e-qais
sirf zikr-e-laila-e-mahmil-nashin mat kijiye
dasht mein kho jaiye jangal mein ja basiye magar
ruh ko bahr-e-KHuda uzlat-guzin mat kijiye
muskura kar Tal dije dad-KHwah-e-shauq ko
han agar mumkin nahin hai to nahin mat kijiye
lutf ka talib hai mal-o-zar ka saudai nahin
apne sail par nigah-e-KHashm-gin mat kijiye
'ishq ke bare mein na-mahram jo kahte hain kahin
KHanda-peshani se sun lije yaqin mat kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.