shajar aaram-dah hone lage hain
shajar ārām-dah hone lage haiñ
parinde rāt-din sone lage haiñ
ye kaisā sāneha ab ke huā hai
sabhī chhoTe baḌe rone lage haiñ
mohabbat bāñjh dhartī ban ga.ī hai
badan ab be-samar hone lage haiñ
is ahd-e-nāravā ke ahl-e-dānish
kabhī Thigne kabhī baune lage haiñ
sadā.eñ be-sadā alfāz banjar
qalam vīrān se hone lage haiñ
bahī-ḳhvāhoñ ko ḳhush rakhne kī ḳhātir
ham apne aap pe rone lage haiñ
shajar aaram-dah hone lage hain
parinde raat-din sone lage hain
ye kaisa saneha ab ke hua hai
sabhi chhoTe baDe rone lage hain
mohabbat banjh dharti ban gai hai
badan ab be-samar hone lage hain
is ahd-e-narawa ke ahl-e-danish
kabhi Thigne kabhi baune lage hain
sadaen be-sada alfaz banjar
qalam viran se hone lage hain
bahi-KHwahon ko KHush rakhne ki KHatir
hum apne aap pe rone lage hain
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 40)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.