shajar gahre zaminon mein gaDe hain
shajar gahre zamīnoñ meñ gaḌe haiñ
to kyuuñ halkī havā meñ kāñpte haiñ
chalo is moḌ se vāpas chaleñ ham
ab aage muḳhtalif raste bane haiñ
hameñ ye dukh nahīñ hai ḳhud ko khoyā
ye ġham hai ham use bhī kho chuke haiñ
hamāre ḳhvāb bhī apne kahāñ haiñ
kisī kī yaad ne aa kar bune haiñ
jab us ko bhuul baiThī huuñ maiñ 'farhat'
to phir āñkhoñ meñ kaise rat-jage haiñ
shajar gahre zaminon mein gaDe hain
to kyun halki hawa mein kanpte hain
chalo is moD se wapas chalen hum
ab aage muKHtalif raste bane hain
hamein ye dukh nahin hai KHud ko khoya
ye gham hai hum use bhi kho chuke hain
hamare KHwab bhi apne kahan hain
kisi ki yaad ne aa kar bune hain
jab us ko bhul baiThi hun main 'farhat'
to phir aankhon mein kaise rat-jage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.