shajar har ek hari gahri qaba pahne hue hai
shajar har ik harī gahrī qabā pahne hue hai
nayā mausam na.ī taaza havā pahne hue hai
na jaane kaun sā saayā hai jis se ḳhauf khā kar
laboñ par har koī harf-e-duā pahne hue hai
añgūThī kah rahe haiñ sab jise kab jānte haiñ
ki vo unglī meñ ye kis kī razā pahne hue hai
hai sar par noch khāne ke liye tayyār duniyā
magar āñkhoñ meñ to ab tak hayā pahne hue hai
nazar vāloñ ko bilkul bhī nazar aatā nahīñ ye
na jaane kaun sā pardā ḳhudā pahne hue hai
sunā.ī hī kahāñ detī hai ab duniyā ye us ko
ki vo kānoñ meñ bas merī sadā pahne hue hai
ta'alluq ko nibhānā aur bhī dushvār hogā
agar donoñ meñ koī ik anā pahne hue hai
shajar har ek hari gahri qaba pahne hue hai
naya mausam nai taza hawa pahne hue hai
na jaane kaun sa saya hai jis se KHauf kha kar
labon par har koi harf-e-dua pahne hue hai
anguThi kah rahe hain sab jise kab jaante hain
ki wo ungli mein ye kis ki raza pahne hue hai
hai sar par noch khane ke liye tayyar duniya
magar aankhon mein to ab tak haya pahne hue hai
nazar walon ko bilkul bhi nazar aata nahin ye
na jaane kaun sa parda KHuda pahne hue hai
sunai hi kahan deti hai ab duniya ye us ko
ki wo kanon mein bas meri sada pahne hue hai
ta'alluq ko nibhana aur bhi dushwar hoga
agar donon mein koi ek ana pahne hue hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.