shajar hun dhup ki zad par kisi ka saeban hun
shajar huuñ dhuup kī zad par kisī kā sā.ebāñ huuñ
kisī bhī vaqt miT saktā hai jo aisā nishāñ huuñ
mire atrāf jitnī bhī haiñ manfī quvvateñ haiñ
kisī kī zid ke aur apnī anā ke darmiyāñ huuñ
maiñ jazbe kī chamaktī lau se raushan ho ga.ī thī
aur ab us jazba-e-be-ḳhānumāñ hī kā dhuāñ huuñ
phir us ke baad rasta kyā ho mujh ko sochnā hai
abhī tak to ḳhabar hai kis jagah par huuñ kahāñ huuñ
kisī ke hukm ke taabe muayyan rāste par
jo ruk ke dam bhī le saktā nahīñ vo kārvāñ huuñ
mirā māhaul mere vāste bhī ajnabī hai
maiñ ik kachchī galī ke moḌ par puḳhta makāñ huuñ
mujhe us kī nazar se dekh kar ye jānñā hai
yaqīñ huuñ yā yaqīñ ke aa.ine meñ bhī gumāñ huuñ
shajar hun dhup ki zad par kisi ka saeban hun
kisi bhi waqt miT sakta hai jo aisa nishan hun
mere atraf jitni bhi hain manfi quwwaten hain
kisi ki zid ke aur apni ana ke darmiyan hun
main jazbe ki chamakti lau se raushan ho gai thi
aur ab us jazba-e-be-KHanuman hi ka dhuan hun
phir us ke baad rasta kya ho mujh ko sochna hai
abhi tak to KHabar hai kis jagah par hun kahan hun
kisi ke hukm ke tabe muayyan raste par
jo ruk ke dam bhi le sakta nahin wo karwan hun
mera mahaul mere waste bhi ajnabi hai
main ek kachchi gali ke moD par puKHta makan hun
mujhe us ki nazar se dekh kar ye jaanna hai
yaqin hun ya yaqin ke aaine mein bhi guman hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.