shajar ke bhitar chhati chiDiya
shajar ke bhītar chhātī chiḌiyā
samtoñ ko dharātī chiḌiyā
nannhī nāzuk kaalī rañgat
shajar safeda paatī chiḌiyā
gul hotī ḳhushbū ke tan meñ
bīnā.ī ko laatī chiḌiyā
raat ke lāzim añdhiyāre meñ
sūraj ko bahlātī chiḌiyā
kaalī rañgat niilī bāteñ
āñkhoñ ko ujlātī chiḌiyā
hoñToñ kī ḳhushbū kī jānib
aatī aur sharmātī chiḌiyā
bahte paanī kī sūrat se
lohū ko mahkātī chiḌiyā
bārish ke thamte āñgan meñ
shajar shajar bah jaatī chiḌiyā
shajar ke bhitar chhati chiDiya
samton ko dharaati chiDiya
nannhi nazuk kali rangat
shajar safeda pati chiDiya
gul hoti KHushbu ke tan mein
binai ko lati chiDiya
raat ke lazim andhiyare mein
suraj ko bahlati chiDiya
kali rangat nili baaten
aankhon ko ujlati chiDiya
honTon ki KHushbu ki jaanib
aati aur sharmati chiDiya
bahte pani ki surat se
lohu ko mahkati chiDiya
barish ke thamte aangan mein
shajar shajar bah jati chiDiya
- Book : Mehraab (Pg. 127)
- Author : Ahmed Mushtaq
- Publication : Maktaba Mehrab Pak Tea House Share Qaid-e-azam (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.