shajar ki shaKH se jhula utar bhi sakta hai
shajar kī shāḳh se jhūlā utar bhī saktā hai
tire baġhair ye sāvan guzar bhī saktā hai
sameT rakkhā hai apnā vajūd ḳhud maiñ ne
ye aa.ina jo girā to bikhar bhī saktā hai
kabhī kabhī hameñ milne kā izn de kar vo
hamārī zaat pe ehsān kar bhī saktā hai
tamāsha yuuñ na dikhā apnī be-niyāzī kā
hamāre sabr kā paimāna bhar bhī saktā hai
vo jis ko da.avā hai tūfāñ kā ruḳh badal degā
kabhī kabhī kisī āñdhī se Dar bhī saktā hai
kahā thā us ne ki milne zarūr aa.egā
magar vo va.ade se apne mukar bhī saktā hai
baḌe salīqe se sab ko sambhāl rakkhā hai
zarā sī chuuk se kumba bikhar bhī saktā hai
duā.eñ māñgtī rahtī huuñ roz-o-shab rab se
agar vo chāhe muqaddar sañvar bhī saktā hai
shajar ki shaKH se jhula utar bhi sakta hai
tere baghair ye sawan guzar bhi sakta hai
sameT rakkha hai apna wajud KHud main ne
ye aaina jo gira to bikhar bhi sakta hai
kabhi kabhi hamein milne ka izn de kar wo
hamari zat pe ehsan kar bhi sakta hai
tamasha yun na dikha apni be-niyazi ka
hamare sabr ka paimana bhar bhi sakta hai
wo jis ko dawa hai tufan ka ruKH badal dega
kabhi kabhi kisi aandhi se Dar bhi sakta hai
kaha tha us ne ki milne zarur aaega
magar wo wade se apne mukar bhi sakta hai
baDe saliqe se sab ko sambhaal rakkha hai
zara si chuk se kumba bikhar bhi sakta hai
duaen mangti rahti hun roz-o-shab rab se
agar wo chahe muqaddar sanwar bhi sakta hai
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 66)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.