shajar pe sanp hai ya bagh mein shikari hai
shajar pe saañp hai yā baaġh meñ shikārī hai
ye kaisī aaj parindoñ meñ be-qarārī hai
tumhāre lab pe thiiñ kal inqalāb kī bāteñ
tumhāre lab pe to girya hai āh-o-zārī hai
ajab na thā saf-e-avval meñ ham nazar aate
magar ye raah meñ haa.il jo ḳhāksārī hai
ye ma.arke to siyāsat ke shāḳhsāne haiñ
na tū ne jiitī hai baazī na maiñ ne haarī hai
koī guzāre to do din meñ jaan se guzre
jo umr ham ne ġham-e-yār meñ guzārī hai
hamāre haal pe un kī ināyateñ kam thiiñ
jo dil pe ab ke lagā hai vo zaḳhm kaarī hai
kuchh aise naam haiñ sher-o-suḳhan kī duniyā meñ
ki jin kī dhuum haqīqat meñ ishtihārī hai
shajar pe sanp hai ya bagh mein shikari hai
ye kaisi aaj parindon mein be-qarari hai
tumhaare lab pe thin kal inqalab ki baaten
tumhaare lab pe to girya hai aah-o-zari hai
ajab na tha saf-e-awwal mein hum nazar aate
magar ye rah mein hail jo KHaksari hai
ye marke to siyasat ke shaKHsane hain
na tu ne jiti hai bazi na main ne haari hai
koi guzare to do din mein jaan se guzre
jo umr hum ne gham-e-yar mein guzari hai
hamare haal pe un ki inayaten kam thin
jo dil pe ab ke laga hai wo zaKHm kari hai
kuchh aise nam hain sher-o-suKHan ki duniya mein
ki jin ki dhum haqiqat mein ishtihaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.