shakar-KHwabi se bil-aKHir mujhe bedar hona tha
shakar-ḳhvābī se bil-āḳhir mujhe bedār honā thā
ki apnī zaat se ik din mujhe do-chār honā thā
tire hāthoñ meñ tesha dekh kar jī ḳhush huā merā
kisī ke haath shahr-e-dil mirā mismār honā thā
hamārī dāstāñ se koī dilchaspī na thī us ko
use apnī kahānī kā faqat kirdār honā thā
tujhe ūñchī fasīloñ se nihāyat hī ḳhauf lagtā thā
magar mujh ko falak se barsar-e-paikār honā thā
shakar-KHwabi se bil-aKHir mujhe bedar hona tha
ki apni zat se ek din mujhe do-chaar hona tha
tere hathon mein tesha dekh kar ji KHush hua mera
kisi ke hath shahr-e-dil mera mismar hona tha
hamari dastan se koi dilchaspi na thi us ko
use apni kahani ka faqat kirdar hona tha
tujhe unchi fasilon se nihayat hi KHauf lagta tha
magar mujh ko falak se barsar-e-paikar hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.