sham-e-jaan hogi na fanus-e-nazar rah jaega
sham-e-jāñ hogī na fānūs-e-nazar rah jā.egā
ye bhī kyā kam hai ki ḳhvāboñ kā safar rah jā.egā
ai havā-e-zar-garī ai kūcha-e-saudāgarī
kyā navāh-e-dil meñ koī shīshagar rah jā.egā
daaġh dāman ke to dhul jā.eñge sab ik din magar
ek dhabba hai jo ḳhūn-e-dil meñ tar rah jā.egā
ai fusūn-e-āgahī ye badduā kis kī lagī
aadmī hī aadmī se be-ḳhabar rah jā.egā
hijrateñ kaisī bhī hoñ jab bhī palaT kar aaoge
ghar to kyā pāoge bas dīvār-o-dar rah jā.egā
ai fasīl-e-shahr-e-jāñ tū ne hamesha dī amaañ
ab jo hai to sar-nigūñ kyā ye nagar rah jā.egā
sham-e-jaan hogi na fanus-e-nazar rah jaega
ye bhi kya kam hai ki KHwabon ka safar rah jaega
ai hawa-e-zar-gari ai kucha-e-saudagari
kya nawah-e-dil mein koi shishagar rah jaega
dagh daman ke to dhul jaenge sab ek din magar
ek dhabba hai jo KHun-e-dil mein tar rah jaega
ai fusun-e-agahi ye baddua kis ki lagi
aadmi hi aadmi se be-KHabar rah jaega
hijraten kaisi bhi hon jab bhi palaT kar aaoge
ghar to kya paoge bas diwar-o-dar rah jaega
ai fasil-e-shahr-e-jaan tu ne hamesha di aman
ab jo hai to sar-nigun kya ye nagar rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.