sham’on ki tarah pighal rahe hain
sham’oñ kī tarah pighal rahe haiñ
ham ġham kī chitā meñ jal rahe haiñ
dil meñ hai hujūm vasvasoñ kā
aaseb khañDar meñ pal rahe haiñ
duniyā ne hazār rang badle
ham apnī jagah aTal rahe haiñ
lamhāt kī tund āñdhiy.oñ meñ
sadiyoñ ke charāġh chal rahe haiñ
jaanā hai kahāñ ḳhabar nahīñ kuchh
chalne kā junūñ hai chal rahe haiñ
sūraj ho ki raat kā añdherā
sab mere lahū pe pal rahe haiñ
kuchh aisī kaḌī hai dhuup 'tāhir'
patthar bhī yahāñ pighal rahe haiñ
sham’on ki tarah pighal rahe hain
hum gham ki chita mein jal rahe hain
dil mein hai hujum waswason ka
aaseb khanDar mein pal rahe hain
duniya ne hazar rang badle
hum apni jagah aTal rahe hain
lamhat ki tund aandhiyon mein
sadiyon ke charagh chal rahe hain
jaana hai kahan KHabar nahin kuchh
chalne ka junun hai chal rahe hain
suraj ho ki raat ka andhera
sab mere lahu pe pal rahe hain
kuchh aisi kaDi hai dhup 'tahir'
patthar bhi yahan pighal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.