shama ke tere karishme ne dil-afrozi ki
sham.a ke tere karishme ne dil-afrozī kī
in ne tab duur ye mahfil kī siyah-rozī kī
aa.e bū garmī-e-ḳhurshīd se dil-sozī kī
sarguzisht apnī kahīñ ham jo siyah-rozī kī
aah parvāna ye kyuuñ sham.a pe jaltā hogā
raat ko bazm meñ bū aatī thī jāñ-sozī kī
qaht-e-ġham-ḳhvār se az-bas-ki ye dil jaltā thā
dil ke jalne pe mirī sham.a ne dil-sozī kī
ashk kā taar le āñkhoñ ne mizha kī sozan
jam.a kar laḳht-e-jigar zor-e-jigar-sozī kī
mahr-o-mah abr-o-havā tere liye sargardāñ
banda suntā hai abas fikr na kar rozī kī
ishq meñ jalte haiñ raushan hai ye un par.....
sham.a ko tarz sikhāyā hai dil-afrozī kī
shama ke tere karishme ne dil-afrozi ki
in ne tab dur ye mahfil ki siyah-rozi ki
aae bu garmi-e-KHurshid se dil-sozi ki
sarguzisht apni kahin hum jo siyah-rozi ki
aah parwana ye kyun shama pe jalta hoga
raat ko bazm mein bu aati thi jaan-sozi ki
qaht-e-gham-KHwar se az-bas-ki ye dil jalta tha
dil ke jalne pe meri shama ne dil-sozi ki
ashk ka tar le aankhon ne mizha ki sozan
jama kar laKHt-e-jigar zor-e-jigar-sozi ki
mahr-o-mah abr-o-hawa tere liye sargardan
banda sunta hai abas fikr na kar rozi ki
ishq mein jalte hain raushan hai ye un par
shama ko tarz sikhaya hai dil-afrozi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.