shama ki lau mein kuchh dhuan sa hai
sham.a kī lau meñ kuchh dhuāñ sā hai
koī phir aaj bad-gumāñ sā hai
chaak dāmāñ hai aaj betābī
tere aane kā kuchh gumāñ sā hai
aao is dil meñ aan kar dekheñ
ārzūoñ kā ik jahāñ sā hai
kahne sunñe kī baat ho to kaheñ
haal tum par to sab ayaañ sā hai
Thahro Thahro abhī se sub.h kahāñ
ye to pichhle kā kuchh samāñ sā hai
shama ki lau mein kuchh dhuan sa hai
koi phir aaj bad-guman sa hai
chaak daman hai aaj betabi
tere aane ka kuchh guman sa hai
aao is dil mein aan kar dekhen
aarzuon ka ek jahan sa hai
kahne sunne ki baat ho to kahen
haal tum par to sab ayan sa hai
Thahro Thahro abhi se subh kahan
ye to pichhle ka kuchh saman sa hai
- Book : Awaz Na Do (Pg. 25)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.