shama ki nazron mein saudai hai parwana abhi
sham.a kī nazroñ meñ saudā.ī hai parvāna abhī
soz-o-sāz-e-ishq se hai husn begāna abhī
āstān-e-nāz se duniyā hai begāna abhī
koī ka.aba DhūñDtā hai koī but-ḳhāna abhī
kuchh bagūloñ aur kuchh zarroñ meñ haiñ sargoshiyāñ
dasht se guzrā hai shāyad koī dīvāna abhī
us ne jazb-e-ishq kī tāsīr dekhī hī nahīñ
apne jalvoñ par hai nāzāñ husn-e-jānāna abhī
kyā huī terī nigāh-e-mast kī sarmastiyāñ
hosh meñ baiThā huā hai terā dīvāna abhī
tere zauq-e-dīd meñ rang-e-kalīmāna nahīñ
varna vo ḳhud chal ke aa.e be-hijābāna abhī
aql-e-nādāñ ke tasarruf meñ haiñ lākhoñ gulistāñ
ishq kī qismat meñ ai 'sābir' hai vīrāna abhī
shama ki nazron mein saudai hai parwana abhi
soz-o-saz-e-ishq se hai husn begana abhi
aastan-e-naz se duniya hai begana abhi
koi kaba DhunDta hai koi but-KHana abhi
kuchh bagulon aur kuchh zarron mein hain sargoshiyan
dasht se guzra hai shayad koi diwana abhi
us ne jazb-e-ishq ki tasir dekhi hi nahin
apne jalwon par hai nazan husn-e-jaanana abhi
kya hui teri nigah-e-mast ki sarmastiyan
hosh mein baiTha hua hai tera diwana abhi
tere zauq-e-did mein rang-e-kalimana nahin
warna wo KHud chal ke aae be-hijabana abhi
aql-e-nadan ke tasarruf mein hain lakhon gulistan
ishq ki qismat mein ai 'sabir' hai virana abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.