shama ki tarah pighalte rahiye
sham.a kī tarah pighalte rahiye
apnī hī aag meñ jalte rahiye
aaj insāñ kā muqaddar hai yahī
har na.e sāñche meñ Dhalte rahiye
zinda rahne kī tamannā hai agar
apnā chehra bhī badalte rahiye
chhāñv kī tarah baḌhā bhī kiije
dhuup kī tarah na Dhalte rahiye
zindagī kī hai alāmat laġhzish
kyuuñ bahar-gām sambhalte rahiye
kaam liije na zabāñ se apnī
ḳhaak bas chehre pe malte rahiye
zehn bhī shal na kahīñ ho jaa.e
vaqt-zāroñ se nikalte rahiye
shama ki tarah pighalte rahiye
apni hi aag mein jalte rahiye
aaj insan ka muqaddar hai yahi
har nae sanche mein Dhalte rahiye
zinda rahne ki tamanna hai agar
apna chehra bhi badalte rahiye
chhanw ki tarah baDha bhi kije
dhup ki tarah na Dhalte rahiye
zindagi ki hai alamat laghzish
kyun bahar-gam sambhalte rahiye
kaam lije na zaban se apni
KHak bas chehre pe malte rahiye
zehn bhi shal na kahin ho jae
waqt-zaron se nikalte rahiye
- Book : Be-Chehrah Lamhe (Pg. 38)
- Author : Alqama Shibli
- Publication : Shaharyaar Brothers Publications (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.