sham mein soz ki wo KHu hai na parwane mein
sham mein soz ki wo KHu hai na parwane mein
Rashid Shahjahanpuri
MORE BYRashid Shahjahanpuri
Interesting Fact
1937
sham' meñ soz kī vo ḳhū hai na parvāne meñ
jo hai ai barq-shamā.il tire dīvāne meñ
lutf thā zikr-e-dil-soḳhta duhrāne meñ
soz hai saaz kahāñ tuur ke afsāne meñ
thā jo us chashm-e-fusūñ-sāz ke paimāne meñ
kaif vo DhūñDiye ab kaun hai maiḳhāne meñ
vāsta dast-e-nigārīñ kā tujhe ai qātil
ek surḳhī kī kamī hai mire afsāne meñ
jo kabhī thā vahī hai aaj bhī afsāna-e-ishq
ek do lafz badal jaate haiñ duhrāne meñ
maut bhī munhasir in kī nigah-e-nāz pe thī
ab nahīñ koī kamī 'ishq ke afsāne meñ
vahī shai jo abhī miinā meñ thī ik mauj-e-nashāt
vahī tūfān-e-tarab ban ga.ī paimāne meñ
qaul vā'iz kā bajā shaiḳh kī talqīn durust
dil-e-kāfir kahīñ aa.e bhī to samjhāne meñ
qaid-e-hastī ko samajhtā hai junūñ kī tauhīn
ab to kuchh hosh ke andāz haiñ dīvāne meñ
shukr ban jaate haiñ aate hī zabāñ tak shikve
jaane kyā baat hai us aañkh ke sharmāne meñ
kis tarah hazrat-e-vā'iz ko ye samjhā.ūñ 'rashīd'
riñd kyā dekh liyā karte haiñ paimāne meñ
sham' mein soz ki wo KHu hai na parwane mein
jo hai ai barq-shamail tere diwane mein
lutf tha zikr-e-dil-soKHta duhrane mein
soz hai saz kahan tur ke afsane mein
tha jo us chashm-e-fusun-saz ke paimane mein
kaif wo DhunDiye ab kaun hai maiKHane mein
wasta dast-e-nigarin ka tujhe ai qatil
ek surKHi ki kami hai mere afsane mein
jo kabhi tha wahi hai aaj bhi afsana-e-ishq
ek do lafz badal jate hain duhrane mein
maut bhi munhasir in ki nigah-e-naz pe thi
ab nahin koi kami 'ishq ke afsane mein
wahi shai jo abhi mina mein thi ek mauj-e-nashat
wahi tufan-e-tarab ban gai paimane mein
qaul wa'iz ka baja shaiKH ki talqin durust
dil-e-kafir kahin aae bhi to samjhane mein
qaid-e-hasti ko samajhta hai junun ki tauhin
ab to kuchh hosh ke andaz hain diwane mein
shukr ban jate hain aate hi zaban tak shikwe
jaane kya baat hai us aankh ke sharmane mein
kis tarah hazrat-e-wa'iz ko ye samjhaun 'rashid'
rind kya dekh liya karte hain paimane mein
- Dast-e-nigaaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.