shamim-e-gul ki tarah nikhat-e-hina ki tarah
shamīm-e-gul kī tarah nik.hat-e-hinā kī tarah
guzar rahe haiñ ḳhayāloñ meñ vo sabā kī tarah
ġhurūr-e-husn kī sūrat mirī anā kī tarah
vo be-niyāz haiñ mujh se mire ḳhudā kī tarah
nava-e-dard hai jibrīl kī sadā kī tarah
dil-e-hazīñ hai mirā vādī-e-hirā kī tarah
havas kā naam na de jazba-e-mohabbat ko
mire ḳhulūs ko rusvā na kar vafā kī tarah
sukūn-e-dil ko mayassar kahāñ sabāt yahāñ
milī ḳhushī bhī vo umr-e-gurez-pā kī tarah
vo ek aah bhī samjhā sharīk-e-dard jise
rukī hai lab pe mire harf-e-mudda.ā kī tarah
adā-e-pursish-e-ahvāl ik fareb sahī
magar vo shoḳh milā dard-āshnā kī tarah
nafas nafas meñ hai ḳhushbū-e-pairahan kis kī
mashām-e-jāñ hai mirā phuul kī qabā kī tarah
rah-e-vafā meñ 'mubārak' ye bebasī merī
maiñ kārvāñ se bichhaḌ kar huuñ naqsh-e-pā kī tarah
shamim-e-gul ki tarah nikhat-e-hina ki tarah
guzar rahe hain KHayalon mein wo saba ki tarah
ghurur-e-husn ki surat meri ana ki tarah
wo be-niyaz hain mujh se mere KHuda ki tarah
nawa-e-dard hai jibril ki sada ki tarah
dil-e-hazin hai mera wadi-e-hira ki tarah
hawas ka nam na de jazba-e-mohabbat ko
mere KHulus ko ruswa na kar wafa ki tarah
sukun-e-dil ko mayassar kahan sabaat yahan
mili KHushi bhi wo umr-e-gurez-pa ki tarah
wo ek aah bhi samjha sharik-e-dard jise
ruki hai lab pe mere harf-e-muddaa ki tarah
ada-e-pursish-e-ahwal ek fareb sahi
magar wo shoKH mila dard-ashna ki tarah
nafas nafas mein hai KHushbu-e-pairahan kis ki
masham-e-jaan hai mera phul ki qaba ki tarah
rah-e-wafa mein 'mubarak' ye bebasi meri
main karwan se bichhaD kar hun naqsh-e-pa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.