shamsa ne shairi mein ajab silsila kiya
'shamsa' ne shā'irī meñ 'ajab silsila kiyā
lafzoñ meñ qaid-e-zīst kā har mas.ala kiyā
bas ham mohabbatoñ meñ hazīmat na sah sake
ik 'umr apnī haar pe dil aabla kiyā
ab to mohabbatoñ kī na 'ādat rahī mujhe
muddat ke baa'd aap ne phir rābta kiyā
buniyād mere ghar kī hilā dī gila nahīñ
dil meñ paḌā shigāf jo us kā gila kiyā
tum tai na kar sake jo vafāoñ kī manzileñ
tab iḳhtiyār ham ne judā rāsta kiyā
maiñ yaad jab karūñ to vo letā hai hichkiyāñ
hairāñ huuñ dil ne dil se kahāñ rābta kiyā
kahne ko zindagī hai bahut muḳhtasar yahāñ
tai 'shamsa' ne tavīl magar fāsla kiyā
'shamsa' ne sha'iri mein 'ajab silsila kiya
lafzon mein qaid-e-zist ka har masala kiya
bas hum mohabbaton mein hazimat na sah sake
ek 'umr apni haar pe dil aabla kiya
ab to mohabbaton ki na 'adat rahi mujhe
muddat ke ba'd aap ne phir rabta kiya
buniyaad mere ghar ki hila di gila nahin
dil mein paDa shigaf jo us ka gila kiya
tum tai na kar sake jo wafaon ki manzilen
tab iKHtiyar hum ne juda rasta kiya
main yaad jab karun to wo leta hai hichkiyan
hairan hun dil ne dil se kahan rabta kiya
kahne ko zindagi hai bahut muKHtasar yahan
tai 'shamsa' ne tawil magar fasla kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.