shanawar ko bachana chahiye tha
shanāvar ko bachānā chāhiye thā
nadī ko duub jaanā chāhiye thā
nahīñ Dhaknā thā tum ko aa.ine ko
tumheñ chehra chhupānā chāhiye thā
uḌāyā kis liye tum ne parinda
tumheñ piñjra uḌānā chāhiye thā
tumheñ pā kar bhī ye lagtā hai ham ko
tumheñ kuchh aur paanā chāhiye thā
vahāñ jā kar nazar tum ne uThā.ī
jahāñ par sar jhukānā chāhiye thā
unhoñ ne sub.h māñgī thī na.ī kyoñ
jinheñ sūraj purānā chāhiye thā
maiñ kar saktā huuñ ye da.avā thā jin kā
unheñ kar ke dikhānā chāhiye thā
vo ik qisse pe raazī ho gayā thā
hameñ puurā fasāna chāhiye thā
nizāmat ke zarā ādāb sīkho
tumheñ misrā uThānā chāhiye thā
shanawar ko bachana chahiye tha
nadi ko dub jaana chahiye tha
nahin Dhakna tha tum ko aaine ko
tumhein chehra chhupana chahiye tha
uDaya kis liye tum ne parinda
tumhein pinjra uDana chahiye tha
tumhein pa kar bhi ye lagta hai hum ko
tumhein kuchh aur pana chahiye tha
wahan ja kar nazar tum ne uThai
jahan par sar jhukana chahiye tha
unhon ne subh mangi thi nai kyon
jinhen suraj purana chahiye tha
main kar sakta hun ye dawa tha jin ka
unhen kar ke dikhana chahiye tha
wo ek qisse pe raazi ho gaya tha
hamein pura fasana chahiye tha
nizamat ke zara aadab sikho
tumhein misra uThana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.