Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shar pasandi ko bhi shahkar batane wale

Shahabuddin Shah Qannauji

shar pasandi ko bhi shahkar batane wale

Shahabuddin Shah Qannauji

MORE BYShahabuddin Shah Qannauji

    shar pasandī ko bhī shahkār batāne vaale

    bhī mahfūz nahīñ aag lagāne vaale

    vo to zālim hai to phir us se shikāyat kyoñ hai

    apnī hastī ko haiñ ḳhud aap miTāne vaale

    khanDaroñ se vo sabaq lete nahīñ haiñ shāyad

    haiñ zamāne meñ abhī ḳhvāb sajāne vaale

    mil ga.e ḳhaak meñ fir.aun-e-zamāna yaaro

    sab musāfir isī duniyā se haiñ jaane vaale

    zindagī ḳhud har ādāb sikhā detī hai

    baḌe aa.e mujhe ādāb sikhāne vaale

    pūchhte kyā ho sitamgar kahānī mujh se

    choT par choT lagāte haiñ zamāne vaale

    sone chāñdī ke ḳhudāoñ ko girāñ guzregā

    'shāh' kāġhaz ko karāmāt batāne vaale

    shar pasandi ko bhi shahkar batane wale

    tu bhi mahfuz nahin aag lagane wale

    wo to zalim hai to phir us se shikayat kyon hai

    apni hasti ko hain KHud aap miTane wale

    khanDaron se wo sabaq lete nahin hain shayad

    hain zamane mein abhi KHwab sajaane wale

    mil gae KHak mein firaun-e-zamana yaro

    sab musafir isi duniya se hain jaane wale

    zindagi KHud hi har aadab sikha deti hai

    baDe aae mujhe aadab sikhane wale

    puchhte kya ho sitamgar ki kahani mujh se

    choT par choT lagate hain zamane wale

    sone chandi ke KHudaon ko giran guzrega

    'shah' kaghaz ko karamat batane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now