Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab-e-husn se kuchh aise hum hue maKHmur

Iftikhar Ahamad Siddiqi

sharab-e-husn se kuchh aise hum hue maKHmur

Iftikhar Ahamad Siddiqi

MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi

    sharāb-e-husn se kuchh aise ham hue maḳhmūr

    ki hosh tak na thā baaqī kahāñ husn-e-shu.ūr

    vafā ek aa.iin ek dastūr

    dil aadmī rahe soz-e-ishq se mā'mūr

    kalīm yuuñ bhī sunāo hameñ fasāna-e-tūr

    jo tum meñ thā vo nazar aaya tum ko kitnī duur

    jo ham nahīñ haiñ to bekār hai ḳhudā zuhūr

    na is meñ koī ta.allī is meñ koī ġhurūr

    kashāñ kashāñ yahāñ le aaya merā husn-e-shu.ūr

    na merī is meñ ḳhatā hai na merā is meñ qusūr

    tirā karam ki mujhe de diyā dil-e-ranjūr

    nahīñ to jiine na detā mujhe havas shu'ūr

    kashākash-e-ġham-e-daurāñ se hai vo kosoñ duur

    ki jis ko ġham pe tabassum aa gayā hai shu'ūr

    hamāre sajde ḳhudā to tumheñ banā na sake

    hamārā kufr zamāne meñ ho gayā mash.hūr

    mire ḳhudā mirī haq-goī ke vaqār ḳhair

    vo roz mujh ko sunāte haiñ qissa-e-mansūr

    mire gunāh tauqīr ai tirī qudrat

    ki is siyāhī ne baḳhshā hai kā.enāt ko nuur

    taḌap dil lagī jab to lutf-e-zīst kahāñ

    ilāj-e-dard-e-mohabbat hameñ nahīñ manzūr

    hazār parde hoñ lekin vo rah nahīñ sakte

    mirī nigāh se ojhal mire ḳhayāl se duur

    sharab-e-husn se kuchh aise hum hue maKHmur

    ki hosh tak na tha baqi kahan ka husn-e-shuur

    wafa ka ek hi aain ek hi dastur

    dil aadmi ka rahe soz-e-ishq se ma'mur

    kalim yun bhi sunao hamein fasana-e-tur

    jo tum mein tha wo nazar aaya tum ko kitni dur

    jo hum nahin hain to bekar hai KHuda ka zuhur

    na is mein koi talli na is mein koi ghurur

    kashan kashan yahan le aaya mera husn-e-shuur

    na meri is mein KHata hai na mera is mein qusur

    tera karam ki mujhe de diya dil-e-ranjur

    nahin to jine na deta mujhe hawas ka shu'ur

    kashakash-e-gham-e-dauran se hai wo koson dur

    ki jis ko gham pe tabassum ka aa gaya hai shu'ur

    hamare sajde KHuda to tumhein bana na sake

    hamara kufr zamane mein ho gaya mashhur

    mere KHuda meri haq-goi ke waqar ki KHair

    wo roz mujh ko sunate hain qissa-e-mansur

    mere gunah ki tauqir ai teri qudrat

    ki is siyahi ne baKHsha hai kaenat ko nur

    taDap hi dil ki lagi jab to lutf-e-zist kahan

    ilaj-e-dard-e-mohabbat hamein nahin manzur

    hazar parde hon lekin wo rah nahin sakte

    meri nigah se ojhal mere KHayal se dur

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now