sharāb pī jaan tan meñ aa.ī alam se thā dil kabāb kaisā
gale se lag jaao aao sāhab kahāñ kā parda hijāb kaisā
ab aao bhī har taraf takalluf naqāb kaisī kahāñ kā parda
jhukā.e kyuuñ sar ho sharm se tum ayaañ hai ruḳh se hijāb kaisā
baḌhā jo maiñ rakh ke uzr-e-mastī kahā ye hañs kar chaḌhā ke tevrī
haTo zarā hosh meñ raho jī sambhālo dil iztirāb kaisā
tumheñ mubārak ho jo liyā hai bhulā do jo ham ko de diyā hai
jo ho gayā us kā zikr kyā hai ye dostoñ meñ hisāb kaisā
bahār ke din haiñ kyā maza hai sharāb kā daur chal rahā hai
lagā hai sabza chaman khulā hai baras rahā hai sahāb kaisā
maiñ rashk-e-majnūñ huuñ dekh idhar tū na lā sabā gulsitāñ kī ḳhushbū
ġhubār kī hai dimāġh ko ḳhū kahāñ kā itr aur gulāb kaisā
vo chashm kartī hai said aahū haiñ itne tīr-e-mizha tarāzū
pukār hogī ye kal ko har sū karīh hai mushk-e-nāb kaisā
kabhī vo mastī meñ rañg laa.e kabhī kiyā shaad muskurā.e
ajab tarah ke maze uThā.e visāl kī shab meñ ḳhvāb kaisā
na mel kar sāqiyā yūñhī de pasand mujh ko nahīñ koī shai
jigar pe charkā lage piyāpe kahāñ kā paanī gulāb kaisā
nahīñ hai dozaḳh kā dil ko kuchh ġham mirī bhī sun nāsehā zarā tham
rahīm vo pur-gunāh haiñ ham azaab kaisā savāb kaisā
jo roz hai ruḳh to zulf hai shab zaqan hai mānind chāh-e-naḳhshab
ye haal hai bachpane meñ yārab to hogā ahd-e-shabāb kaisā
ye daur hai chashm-e-surma-gūñ kā falak hai ik qatra bahr-e-ḳhūñ kā
jahān meñ rañg hai fusūñ kā hai mast har shaiḳh-o-shabāb kaisā
'habīb' haiñ band kaam tere kahāñ haiñ shāh-e-anām tere
nahīñ pahuñchte imaam tere hai banda-e-bū-turāb kaisā
sharab pi jaan tan mein aai alam se tha dil kabab kaisa
gale se lag jao aao sahab kahan ka parda hijab kaisa
ab aao bhi har taraf takalluf naqab kaisi kahan ka parda
jhukae kyun sar ho sharm se tum ayan hai ruKH se hijab kaisa
baDha jo main rakh ke uzr-e-masti kaha ye hans kar chaDha ke tewri
haTo zara hosh mein raho ji sambhaalo dil iztirab kaisa
tumhein mubarak ho jo liya hai bhula do jo hum ko de diya hai
jo ho gaya us ka zikr kya hai ye doston mein hisab kaisa
bahaar ke din hain kya maza hai sharab ka daur chal raha hai
laga hai sabza chaman khula hai baras raha hai sahab kaisa
main rashk-e-majnun hun dekh idhar tu na la saba gulsitan ki KHushbu
ghubar ki hai dimagh ko KHu kahan ka itr aur gulab kaisa
wo chashm karti hai said aahu hain itne tir-e-mizha taraazu
pukar hogi ye kal ko har su karih hai mushk-e-nab kaisa
kabhi wo masti mein rang lae kabhi kiya shad muskurae
ajab tarah ke maze uThae visal ki shab mein KHwab kaisa
na mel kar saqiya yunhi de pasand mujh ko nahin koi shai
jigar pe charka lage piyape kahan ka pani gulab kaisa
nahin hai dozaKH ka dil ko kuchh gham meri bhi sun naseha zara tham
rahim wo pur-gunah hain hum azab kaisa sawab kaisa
jo roz hai ruKH to zulf hai shab zaqan hai manind chah-e-naKHshab
ye haal hai bachpane mein yarab to hoga ahd-e-shabab kaisa
ye daur hai chashm-e-surma-gun ka falak hai ek qatra bahr-e-KHun ka
jahan mein rang hai fusun ka hai mast har shaiKH-o-shabab kaisa
'habib' hain band kaam tere kahan hain shah-e-anam tere
nahin pahunchte imam tere hai banda-e-bu-turab kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.