Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararat bankpan shoKHi haya ki

Rafique Dehlvi

shararat bankpan shoKHi haya ki

Rafique Dehlvi

MORE BYRafique Dehlvi

    sharārat bāñkpan shoḳhī hayā

    karūñ tausīf maiñ kis kis adā

    kiyā ḳhud faash tum ne rāz-e-ulfat

    bharī mahfil meñ jab mujh se hayā

    tasavvur meñ bhī be-parda na aa.e

    bhalā kuchh intihā hai is hayā

    jafā ko bhī kiyā badnām tum ne

    ḳhulūs-e-dil se kab koī jafā

    diyā hai dard-e-ulfat mujh ko tum ne

    zahe qismat jo ye ne'mat 'atā

    diyā thā dil tumheñ apnā samajh kar

    ḳhatā mujh se huī maiñ ne ḳhatā

    'rafīq' apnā nahīñ koī jahāñ meñ

    kahā apnā jise us ne daġhā

    shararat bankpan shoKHi haya ki

    karun tausif main kis kis ada ki

    kiya KHud fash tum ne raaz-e-ulfat

    bhari mahfil mein jab mujh se haya ki

    tasawwur mein bhi be-parda na aae

    bhala kuchh intiha hai is haya ki

    jafa ko bhi kiya badnam tum ne

    KHulus-e-dil se kab koi jafa ki

    diya hai dard-e-ulfat mujh ko tum ne

    zahe qismat jo ye ne'mat 'ata ki

    diya tha dil tumhein apna samajh kar

    KHata mujh se hui main ne KHata ki

    'rafiq' apna nahin koi jahan mein

    kaha apna jise us ne dagha ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now