Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharh-e-gham-e-firaq kare dil-figar kya

Abdul Qadir Ahqar Azizi

sharh-e-gham-e-firaq kare dil-figar kya

Abdul Qadir Ahqar Azizi

MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi

    sharh-e-ġham-e-firāq kare dil-figār kyā

    degī na saath ai nigah-e-lutf-e-yār kyā

    majnūñ ke misl ban ke hazāroñ sitam sahe

    fariyād tere aage kare dil-figār kyā

    aatā hai meñ mere ki chhoḌeñ dayār-e-yār

    batā de karnā paḌegā farār kyā

    jis din se bevafā ne ujāḌā hai bāġh-e-dil

    yaksāñ mire liye hai ḳhizāñ kyā bahār kyā

    kotāhī-e-hayāt ke shākī haiñ ḳhizr bhī

    jab maut hai to zindagī-e-musta'ār kyā

    saaqī batā de mujh ko pilāne se peshtar

    kyā maut banegī nashe utaar kyā

    kahtā hai 'ishq ho ke baġhal-gīr mujh se yuuñ

    jab aa chukī hai maut to phir intizār kyā

    'ahqar' ko laayā bazm meñ isrār-e-ahl-e-zauq

    thā shā'iroñ meñ varna hamārā shumār kyā

    sharh-e-gham-e-firaq kare dil-figar kya

    degi na sath ai nigah-e-lutf-e-yar kya

    majnun ke misl ban ke hazaron sitam sahe

    fariyaad tere aage kare dil-figar kya

    aata hai ji mein mere ki chhoDen dayar-e-yar

    tu hi bata de karna paDega farar kya

    jis din se bewafa ne ujaDa hai bagh-e-dil

    yaksan mere liye hai KHizan kya bahaar kya

    kotahi-e-hayat ke shaki hain KHizr bhi

    jab maut hai to zindagi-e-musta'ar kya

    saqi bata de mujh ko pilane se peshtar

    kya maut hi banegi nashe ka utar kya

    kahta hai 'ishq ho ke baghal-gir mujh se yun

    jab aa chuki hai maut to phir intizar kya

    'ahqar' ko laya bazm mein israr-e-ahl-e-zauq

    tha sha'iron mein warna hamara shumar kya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now