Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharmila suraj bhi kitna pagal hota jata hai

Athar Aziz

sharmila suraj bhi kitna pagal hota jata hai

Athar Aziz

MORE BYAthar Aziz

    sharmīlā sūraj bhī kitnā pāgal hotā jaatā hai

    shabnam jaisī hariyālī ko sho.aloñ se dahkātā hai

    aaj achānak ġhaur se mere chehre ko kyoñ dekhte ho

    logo tum se to merā barsoñ rishta-nāta hai

    nangī kirneñ mal ke badan meñ ā.īna vo ban to gayā

    aañkh milāte ā.īne se lekin ab sharmātā hai

    janam janam ke sāthī haiñ ham rūTheñge to mil leñge

    ye kah kar āvāra bādal dhartī ko bahlātā hai

    be-mausam ye sāvan bhī kitnā bholā-bhālā hai

    pheñk ke sāgar meñ kankar ab ḳhud shor machātā hai

    dukh agnī meñ āshā.eñ kab jal kar raakh huiiñ

    pāgal manvā phir bhī baiThā sukh biin bajātā hai

    aaj to har koī hai gum apnī dhun sargam meñ

    tere phīke sur 'at.har' kaun yahāñ gun gaatā hai

    sharmila suraj bhi kitna pagal hota jata hai

    shabnam jaisi hariyali ko shoalon se dahkata hai

    aaj achanak ghaur se mere chehre ko kyon dekhte ho

    logo tum se to mera barson ka rishta-nata hai

    nangi kirnen mal ke badan mein aaina wo ban to gaya

    aankh milate aaine se lekin ab sharmata hai

    janam janam ke sathi hain hum ruThenge to mil lenge

    ye kah kar aawara baadal dharti ko bahlata hai

    be-mausam ka ye sawan bhi kitna bhola-bhaala hai

    phenk ke sagar mein kankar ab KHud hi shor machata hai

    dukh ki agni mein aashaen kab ki jal kar rakh huin

    pagal manwa phir bhi baiTha sukh ki bin bajata hai

    aaj to har koi hai gum apni hi dhun ki sargam mein

    tere phike sur ka 'athar' kaun yahan gun gata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now