shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai
shashdar-o-hairān hai jo bhī ḳharīdāroñ meñ hai
ik sukūt-e-bekarāñ har samt bāzāroñ meñ hai
naubat-e-qaht-e-masīhā.ī yahāñ tak aa ga.ī
kuchh dinoñ se ārzū-e-marg bīmāroñ meñ hai
vo bhī kyā din the ki jab har vasf ik e'zāz thā
aaj to 'azmat qabāoñ aur dastāroñ meñ hai
uḌ rahe haiñ rañg phūloñ ke faqat is baat par
iltifāt-e-fasl-e-gul kā zikr kyuuñ ḳhāroñ meñ hai
ai mire nāqid mire ash'ār kam-pāya sahī
kam se kam iblāġh to mere suḳhan-pāroñ meñ hai
bujh nahīñ saktī kisī sūrat havas kī tishnagī
bahr-e-be-pāyāñ bhī bārish ke talab-gāroñ meñ hai
ḳhūb-sūrat shakl meñ ham sab darinde haiñ 'asad'
aadmī kahte haiñ jis ko vo abhī ġhāroñ meñ hai
shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai
ek sukut-e-bekaran har samt bazaron mein hai
naubat-e-qaht-e-masihai yahan tak aa gai
kuchh dinon se aarzu-e-marg bimaron mein hai
wo bhi kya din the ki jab har wasf ek e'zaz tha
aaj to 'azmat qabaon aur dastaron mein hai
uD rahe hain rang phulon ke faqat is baat par
iltifat-e-fasl-e-gul ka zikr kyun KHaron mein hai
ai mere naqid mere ash'ar kam-paya sahi
kam se kam iblagh to mere suKHan-paron mein hai
bujh nahin sakti kisi surat hawas ki tishnagi
bahr-e-be-payan bhi barish ke talab-garon mein hai
KHub-surat shakl mein hum sab darinde hain 'asad'
aadmi kahte hain jis ko wo abhi ghaaron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.